Arshad Kamal

dard ki sakit nadi phir se rawan hone ko hai

Arshad Kamal

Lakhminia, Bihar, India

1955
dard kī sākit nadī phir se ravāñ hone ko hai
mauj-e-hairat kā tamāshā ab kahāñ hone ko hai
jo girāñ-bār-e-samā.at thā kabhī sab ke liye
ab vahī kalima yahāñ husn-e-bayāñ hone ko hai
kyuuñ kareñ vo apnī qismat ke sitāre kī talāsh
dastaras meñ jin ke saarā āsmāñ hone ko hai
mujh ko us manzil se guzre kitnī muddat ho ga.ī
vaqt merī justujū meñ ab jahāñ hone ko hai
tajarbe kī aañch par har shai hai yuuñ ātash-bajāñ
chāñdnī bhī sūrat-e-barq-e-tapāñ hone ko hai
āsmāñ tirshūl aur ġhaurī se hai sahmā huā
fāḳhta kā zikr aise meñ kahāñ hone ko hai
ghar meñ hai āb-e-ravāñ to barf hai mañjdhār meñ
kuchh na pūchho dahr meñ ab kyā kahāñ hone ko hai
Top Urdushayar.com