Arshad Kamal

kiya hai maine aisa kya ki aisa ho gaya hai

Arshad Kamal

Lakhminia, Bihar, India

1955
kiyā hai maiñ ne aisā kyā ki aisā ho gayā hai
mirā dil mere pahlū meñ parāyā ho gayā hai
vo aa.e to lagā ġham kā mudāvā ho gayā hai
magar ye kyā ki ġham kuchh aur gahrā ho gayā hai
savād-e-shab tire sadqe kuchh aisā ho gayā hai
bhañvar bhī dekhne meñ ab kinārā ho gayā hai
maiñ un kī guftugū se ālam-e-sakta meñ gum thā
vo samjhe un kī bātoñ se dilāsa ho gayā hai
kabhī mauqā mile to guftugū kar luuñ ḳhabar luuñ
ki ḳhud se rabt TuuTe ek arsa ho gayā hai
kabhī un kā nahīñ aanā ḳhabar ke zail meñ thā
magar ab un kā aanā hī tamāshā ho gayā hai
mujhe farhād o majnūñ āfrīñ kahte haiñ 'arshad'
ki ab merā bhī jiine kā irāda ho gayā hai
Top Urdushayar.com