Arshad Kamal

zamana kuchh bhi kahe teri aarzu kar lun

Arshad Kamal

Lakhminia, Bihar, India

1955
zamāna kuchh bhī kahe terī aarzū kar luuñ
shab-e-siyāh meñ sūraj kī justujū kar luuñ
mire ḳhudā mujhe taufīq sar-kashī diide
ḳhizāñ hai sāmne kuchh zikr-e-rañg-o-bū kar luuñ
agar ho mujh ko mayassar kahīñ se koī kiran
to shab-darīda hai jo kuchh use rafū kar luuñ
jo aañkh khol duuñ sun kar zamīr kī dastak
tū ḳhud ko apnī nazar meñ maiñ surḳh-rū kar luuñ
huā hai kitne dinoñ ba.ad rābta qaa.em
ab apne aap se 'rāshid' maiñ guftugū kar luuñ
Top Urdushayar.com