Arshad Kamal

garche zahir mein hain ahwal munawwar sare

Arshad Kamal

Lakhminia, Bihar, India

1955
garche zāhir meñ haiñ ahvāl munavvar saare
raqs karte haiñ añdhere mire andar saare
mauja-e-dard banā degā unheñ misl-e-sabā
vo jo phirte haiñ yahāñ sūrat-e-sarsar saare
dāġh-e-dil mere farozāñ haiñ zamīñ par aise
chhupte phirte haiñ falak par mah-o-aḳhtar saare
mire dariyā-e-suḳhan se hai ilāqa kaisā
vo to pāyāb nadī ke haiñ shanāvar saare
tishnagī zaaġh ne apnī to bujhā lī pal meñ
haif gāgar meñ paḌe rah ga.e kañkar saare
kaun bantā hai safīna yahāñ kis kī ḳhātir
yuuñ to maujūd haiñ dariyā meñ shanāvar saare
rāh-rau aur bhī duniyā meñ haiñ 'arshad' lekin
merī hī raah meñ paḌte haiñ samundar saare
Top Urdushayar.com