ham ziist kī maujoñ se kinārā nahīñ karte
sāhil se samundar kā nazāra nahīñ karte
har sho.aba-e-hastī hai talab-gār-e-tavāzun
resham se kabhī TaaT sañvārā nahīñ karte
dariyā ko samajhne kī tamannā hai to phir kyuuñ
dariyā ke kināre se kinārā nahīñ karte
dastak se ilāqa rahā kab shīsh-mahal ko
ḳhvābīda samā.at ko pukārā nahīñ karte
ham fart-e-masarrat meñ kahīñ jaañ se na jaa.eñ
is ḳhauf se vo zikr hamārā nahīñ karte
ham un ke taġhāful ko samajhte to haiñ lekin
duniyā bhī samajh le ye gavārā nahīñ karte
zulmat se hī kuchh nuur nichoḌo ki ham 'arshad'
māñge ke ujāle pe guzārā nahīñ karte