kuchh to mil jaa.e kahīñ dīda-e-pur-nam ke sivā
aañkh se Tapke vahī girya-e-mātam ke sivā
gulshan-e-zīst meñ mausam kā badalnā kyā hai
kaash ruk jaa.e koī dard ke mausam ke sivā
sub.h kā vaqt hai kirnoñ ko batā de koī
ḳhush haiñ gulshan meñ sabhī qatra-e-shabnam ke sivā
vo zamāne kā taġhayyur ho ki mausam kā mizāj
be-zarar donoñ haiñ nairañgi-e-ādām ke sivā
aise tūfāñ kī hai tamhīd ye maujūda sukūt
kuchh na jab hogā yahāñ shorish-e-paiham ke sivā