Arshad Kamal

kabhi angDai le kar jab samundar jag uThta hai

Arshad Kamal

Lakhminia, Bihar, India

1955
kabhī añgḌā.ī le kar jab samundar jaag uThtā hai
mire andar purānā ik shanāvar jaag uThtā hai
nasheman-gīr haiñ taa.ir bhalā samjheñ to kyā samjheñ
vo kaifiyat ki jab shāhīñ kā shahpar jaag uThtā hai
maiñ jab bhī khīñchtā huuñ ek naqsha roz-e-raushan kā
na jaane kaise is meñ shab kā manzar jaag uThtā hai
zamāna gāmzan hai phir unhī hālāt kī jānib
biphar kar jab abābīloñ kā lashkar jaag uThtā hai
mire ehsās kī rag se ulajh paḌtā hai jo lamha
usī lamhe taḌap kar ik suḳhan-var jaag uThtā hai
vo taare jo chamak rakhte nahīñ kuchh roz-e-raushan meñ
shab-e-tārīk meñ un kā muqaddar jaag uThtā hai
ye maanā sail-e-ashk-e-ġham nahīñ kuchh kam magar 'arshad'
zarā utrā nahīñ dariyā ki banjar jaag uThtā hai
Top Urdushayar.com