Arshad Kamal

samundar se kisi lamhe bhi tughyani nahin jati

Arshad Kamal

Lakhminia, Bihar, India

1955
samundar se kisī lamhe bhī tuġhyānī nahīñ jaatī
magar sāhil ko ġham hai ḳhushk-dāmānī nahīñ jaatī
ġhanīmat hai mirī āñkhoñ kī ye sayyāl ātish bhī
isī se mere zehn-o-dil kī tābānī nahīñ jaatī
savā-neze pe sūraj der tak rukne nahīñ paatā
magar kyā hai ki terī sho.ala-afshānī nahīñ jaatī
sadā-e-ḳhāmushī detī hai ab dastak dar-e-dil par
na jaane kyuuñ hamāre ghar se vīrānī nahīñ jaatī
rihā ho kar bhī kuchh taa.ir qafas meñ lauT aate haiñ
fazā-e-qaid kī aadat ba-āsānī nahīñ jaatī
tamaddun kā nayā jaama bahut shaffāf hai yaaro
ki tan-poshī karo kitnī hī uryānī nahīñ jaatī
jatan saare hī kartā huuñ magar kyā kījiye 'arshad'
mirī ḳhuddāri-e-fitrat hai dīvānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com