mujhe vo khel-tamāshā dikhā.ī detā hai
kahīñ bhī koī jo hañstā dikhā.ī detā hai
kabhī chahaktī thiiñ sadiyāñ yahāñ magar ab to
ik ek lamha sisaktā dikhā.ī detā hai
har ek qatra-e-shabnam ko ugte sūraj kī
kiran kiran meñ añdherā dikhā.ī detā hai
ba-juz hamāre mudāvā koī nahīñ us kā
vo ek dasht jo tanhā dikhā.ī detā hai
khaḌā huā huuñ maiñ us bām-e-zīst par ki jahāñ
har ek dard shanāsā dikhā.ī detā hai
sulagtā dasht hai vo apnī asl meñ lekin
nigāh-e-asr ko dariyā dikhā.ī detā hai
amīr-e-shahr ke dāman ko kyā huā 'arshad'
ki sāmne se darīda dikhā.ī detā hai