Arshad Kamal

talatum hai na jaan-lewa bhanwar hai

Arshad Kamal

Lakhminia, Bihar, India

1955
talātum hai na jāñ-levā bhañvar hai
ki bahr-e-maslahat ab mustaqar hai
dar-e-sayyād par barpā hai mātam
qafas meñ jab se zikr-e-bāl-o-par hai
takallum kā karishma ab dikhā do
tumhārī ḳhāmushī meñ shor-o-shar hai
karūñ kyā ārzū-e-sarfarāzī
ki jab neze pe har pal merā sar hai
milī mohlat to dil meñ jhāñk lūñgā
abhī to zehn par merī nazar hai
chaḌhe dariyā meñ TuuTī naav khenā
kahānī zindagī kī muḳhtasar hai
agar saudā rahe sar meñ to 'arshad'
har ik dīvār ke siine meñ dar hai
Top Urdushayar.com