Arshad Kamal

sach ki KHatir sab kuchh khoya kaun likhega

Arshad Kamal

Lakhminia, Bihar, India

1955
sach kī ḳhātir sab kuchh khoyā kaun likhegā
merā ye be-kaif sā qissa kaun likhegā
yuuñ to har kāñdhe par ik chehra hai lekin
kis ke paas hai apnā chehra kaun likhegā
barf pighal kar dariyā to tuġhyānī laa.e
kyuuñ chaḌhtā hai vaqt kā dariyā kaun likhegā
dasht-navardī kā qissa to sab likhte haiñ
kis ghar meñ hai kitnā sahrā kaun likhegā
sāmne jo hālāt haiñ un sab ke hone meñ
kitnā kuchh hai kis kā hissa kaun likhegā
ḳhushk huā ehsās kā ḳhāma ab aise meñ
kyā hotā hai dard kā rishta kaun likhegā
roz-o-shab ke beach tasādum meñ ai hamdam
sūraj kā kirdār hai kaisā kaun likhegā
abr-e-siyah to jhuum ke aayā lekin 'arshad'
kis bastī par kitnā barsā kaun likhegā
Top Urdushayar.com