maiñ ne vīrāne ko gulzār banā rakkhā hai
kyā burā hai jo haqīqat ko chhupā rakkhā hai
daur-e-hāzir meñ koī kaash zamīñ se pūchhe
aaj insān kahāñ tū ne chhupā rakkhā hai
vo to ḳhud-ġharzī hai lālach hai havas hai jin kā
naam is daur ke insāñ ne vafā rakkhā hai
vo mire sahn meñ barsegā kabhī to khul kar
maiñ ne ḳhvāhish kā shajar kab se lagā rakkhā hai
maiñ to mushtāq huuñ āñdhī meñ bhī uḌne ke liye
maiñ ne ye shauq ajab dil ko lagā rakkhā hai
maiñ ki aurat huuñ mirī sharm hai merā zevar
bas taḳhallus isī baa.is to 'hayā' rakkhā hai