Lata Haya

main ghazal hun mujhe jab aap suna karte hain

Lata Haya

Jaipur, Rajasthan, India

maiñ ġhazal huuñ mujhe jab aap sunā karte haiñ
chand lamhe mirā ġham baañT liyā karte haiñ
jab vafā karte haiñ ham sirf vafā karte haiñ
aur jafā karte haiñ jab sirf jafā karte haiñ
log chāhat kī kitāboñ meñ chhupā kar chehre
sirf jismoñ kī hī tahrīr paḌhā karte haiñ
log nafrat kī fazāoñ meñ bhī jī lete haiñ
ham mohabbat kī havā se bhī Darā karte haiñ
apne bachchoñ ke liye laakh ġharībī ho magar
maañ ke pallū meñ ka.ī sikke milā karte haiñ
jo kabhī ḳhush na hue dekh ke shohrat merī
mere apne haiñ mujhe pyaar kiyā karte haiñ
jin ke jazbāt huuñ nuqsān naf.a kī zad meñ
un ke dil meñ ka.ī bāzār sajā karte haiñ
fikr-o-ehsās pe parda hai 'hayā' kā varna
ham ġhalat baat na sunte na kahā karte haiñ
Top Urdushayar.com