maiñ pī rahī huuñ ki zahrāb haiñ mire aañsū
tirī nazar meñ faqat aab haiñ mire aañsū
tū āftāb hai merā maiñ tujh se huuñ raushan
tire huzūr to mahtāb haiñ mire aañsū
vo ġhāliban unheñ hāthoñ meñ thaam bhī letā
use ḳhabar na thī sailāb haiñ mire aañsū
ḳhayāl rakhte haiñ tanhā.iyoñ kā mahfil kā
ye kitne vāqif-e-ādāb haiñ mire aañsū
chhupā ke rakhtī huuñ har ġham ko laakh pardoñ meñ
fasīl-e-zabt se nāyāb haiñ mire aañsū
sahīfa jaan ke āñkhoñ ko paḌh rahā hai koī
ye rasm-e-ijrā ko betāb haiñ mire aañsū
maiñ shā.erī ke huuñ fann-e-arūz se vāqif
zabar haiñ zer haiñ eraab haiñ mire aañsū
jise paḌhā nahīñ tum ne kabhī mohabbat se
kitāb-e-zīst kā vo baab haiñ mire aañsū
'hayā' ke raaz ko āñkhoñ meñ DhūñDne vaalo
shanāvaro suno girdāb haiñ mire aañsū