har qadam hādse har nafs talḳhiyāñ
zindagī barq tūfāñ ḳhizāñ āñdhiyāñ
rafta rafta yahī bojh lagne lagīñ
kyuuñ baḌī ho ga.iiñ maañ tirī beTiyāñ
merī duniyā tirī zaat meñ qaid hai
mujh ko ḳhairāt meñ de na āzādiyāñ
tīrgī ḳhāmushī bebasī tishnagī
hijr kī raat meñ ḳhāmiyāñ ḳhāmiyāñ
aap hī āñdhiy.oñ se ulajhte rahe
maiñ to laa.ī thī dāman meñ purvā.iyāñ
maiñ kitāboñ meñ rakhkhūñ ye fitrat nahīñ
phuul sūkhe hue be-zabāñ titliyāñ
ye sahīfa nahīñ merī rūdād hai
is kā unvān hai talḳhiyāñ talḳhiyāñ
yaad kyā hai koī mujh se pūchhe 'hayā'
ek ehsās kī chand parchhā.iyāñ