Peer Akram

main andheron ke nagar se bhi guzar aaya to kya

Peer Akram

Amritsar, Punjab, India

1930
maiñ añdheroñ ke nagar se bhī guzar aayā to kyā
bujh ga.iiñ āñkheñ mirī vo ab nazar aayā to kyā
kho ga.e din ke ujāloñ meñ mire ḳhvāboñ ke chāñd
arsh se ab chāñd bhī koī utar aayā to kyā
maiñ to ik gahre samundar meñ utar jaane ko huuñ
tū ḳhirāj-e-ashk le kar ab agar aayā to kyā
ghar se aane vaale tīroñ kā nishāna ban gayā
maiñ muqābil ġhair ke sīna-sipar aayā to kyā
ye dar-o-dīvār bhī ab to nahīñ pahchānte
maiñ safar se lauT kar bhī apne ghar aayā to kyā
bah ga.e sailāb ke dhāroñ meñ jab saare makīñ
ab tujhe 'akram' ḳhayāl-e-bām-o-dar aayā to kyā
Top Urdushayar.com