Peer Akram

raat ke andhe darichon ko munawwar dekhte

Peer Akram

Amritsar, Punjab, India

1930
raat ke andhe darīchoñ ko munavvar dekhte
ham khulī ā.ankhoñ se jo ḳhvāboñ ke manzar dekhte
band rakkhe ḳhud hamīñ ne jab sabhī dīvār-o-dar
kis tarah phir jhāñk kar us ghar ke andar dekhte
kab hamāre haath aa.iiñ ḳhvāhishoñ kī titliyāñ
umr guzrī bas yūñhī rañgoñ ke paikar dekhte
mauja-e-tūfāñ meñ utre ahl-e-dil be-iḳhtiyār
sāhiloñ par rah ga.e saare shanāvar dekhte
zindagī kī gahmāgahmī ne ye fursat hī na dī
ham hathelī par likhā apnā muqaddar dekhte
sāhiloñ kī ret hī se chun rahe ho sīpiyāñ
tum kabhī 'akram' samundar meñ utar kar dekhte
Top Urdushayar.com