Qaisar Umrao Tovi

aarzuen jal gain shauq-e-farawan jal gaya

Qaisar Umrao Tovi

ārzūeñ jal ga.iiñ shauq-e-farāvāñ jal gayā
bujh gayā dil zindagī kā sāz-o-sāmāñ jal gayā
mausam-e-gul thā ki thī barq-e-ḳhizāñ zer-e-naqāb
phuul hañsne bhī na paa.e the gulistāñ jal gayā
shauq-e-manzil meñ junūñ kī garm-raftārī na pūchh
raah ke kāñToñ kī kyā hastī bayābāñ jal gayā
jhuum kar sū-e-chaman aayā to kyā barsā to kyā
āshiyāñ to kab kā ai abr-e-bahārāñ jal gayā
hashr ke din rahmat-e-haq ne liyā āġhosh meñ
zauq-e-isyāñ par mire zāhid kā īmāñ jal gayā
dekh 'qaisar' ye hai gulshan meñ ma.āl-e-fasl-e-gul
ġhunche ġhunche kā gulistāñ meñ garebāñ jal gayā
Top Urdushayar.com