Qaisar Umrao Tovi

fareb-rang na de jalwa-e-bahaar mujhe

Qaisar Umrao Tovi

fareb-rañg na de jalva-e-bahār mujhe
azīz-tar haiñ chaman meñ guloñ se ḳhaar mujhe
mirī ḳhatāoñ pe ye bāz-purs mālik-e-hashr
atā huā thā kabhī dil pe iḳhtiyār mujhe
ye un kī yaad ye tūfān-e-rañg-o-bū tauba
milī to dard meñ Duubī huī bahār mujhe
ab us maqām pe manzil hai dard-e-paiham kī
ki har taḌap meñ milī lazzat-e-qarār mujhe
chaman meñ rah ke ye mahrūmiyāñ muqaddar kī
ki maiñ bahār ko dekhā karūñ bahār mujhe
ḳhudā kabhī na dikhā.e vo roz-e-bad 'qaisar'
ki aa.e jalva-e-bātil kā e.atibār mujhe
Top Urdushayar.com