Qaisar Umrao Tovi

ba-rang-e-nikhat-e-gul hai chaman mein aashiyan apna

Qaisar Umrao Tovi

ba-rañg-e-nik.hat-e-gul hai chaman meñ āshiyāñ apnā
kisī ke rāzdāñ ham haiñ na koī rāz-dāñ apnā
chale to jā rahe haiñ kyā batā.eñ kal kahāñ hoñge
ḳhudā ma.alūm kis manzil pe Thahre kārvāñ apnā
yahī achchhā huā mahfil meñ terī chup rahe varna
ġham-e-dil kī kahānī aur phir tarz-e-bayāñ apnā
supurd-e-ishq ham to kar chuke sarmāya-e-hastī
jo ahl-e-hosh haiñ sochā kareñ sūd-o-ziyāñ apnā
huā hī chāhtī hai shaam bhī ab sub.h piirī kī
magar ab tak to hai pahlū meñ 'qaisar' dil javāñ apnā
Top Urdushayar.com