sham-e-mahfil ho ke bhī girvīda-e-mahfil nahīñ
maiñ huuñ duniyā meñ magar duniyā meñ merā dil nahīñ
mere dil kī dhaḌkaneñ jab tak haiñ tūfāñ saiñkaḌoñ
mauj betābī hai merī zindagī sāhil nahīñ
ye namāzoñ meñ ḳhayāl-e-jannat-e-hūr-o-qasūr
zāhid-e-kaj-bīñ abhī nau-mashq hai kāmil nahīñ
be-niyāz-e-fikr-e-manzil be-ḳhudī ne kar diyā
ab mire dāman pe dāġh-e-hasrat-e-manzil nahīñ
nā-ḳhudā kyuuñ āsmāñ ko tak rahā hai baar baar
ruḳh udhar kashtī kā ab kar de jidhar sāhil nahīñ
ik dil-e-dīvāna thā jaatā rahā jaane bhī do
ye kaho kyuuñ āj-kal sī raunaq-e-mahfil nahīñ
merī fitrat hī nahīñ 'qaisar' ki maiñ chhup kar piyūñ
jis meñ khaTkā ho vo jannat bhī mire qābil nahīñ