bujhā.ī aag to raushan huā dhuāñ sā kuchh
hamāre haath meñ aayā hai rā.egāñ sā kuchh
qadam qadam pe dhaḌaktā hai dil umīdoñ kā
qadam qadam pe hai dar-pesh imtihāñ sā kuchh
kahīñ pe naqs mile aur koī baat bane
vo DhūñDte haiñ mire suud meñ ziyāñ sā kuchh
vahī to ban gayā baa.is girānī-e-jāñ kā
rakhā thā ghar meñ kahīñ par jo ḳhānumāñ sā kuchh
ab us ke ba.ad mukammal hai dāstān-e-hunar
idhar-udhar meñ biThāyā hai darmiyāñ sā kuchh
koī sarāb nahīñ hai ye merī ḳhush-nazarī
jo dasht meñ nazar aatā hai gulistāñ sā kuchh
hamāre naam vo mansūb ho gayā kyuuñ kar
zamīñ pe TuuT paḌā thā jo āsmāñ sā kuchh
ab us kī shahr meñ tash.hīr kyuuñ kareñ jā kar
huā hai gaañv meñ apne jo nā-gahāñ sā kuchh