chhuTe ye dhuñd nazar aa.e abr-pāra koī
tumhāre naam kā chamke kahīñ sitārā koī
bhaḌak uTheñge agar ham baḌā ġhazab hogā
hamārā raakh meñ DhūñDo na tum sharārā koī
tumhāre sher meñ kyuuñ bū-e-raftagāñ hai bahut
tumhāre ba.ad hī samjhā ye isti.ārā koī
huī thī dostī jis se vo kar gayā hijrat
hamārā naf.a meñ yuuñ dekh le ḳhasārā koī
vo apnī saarī imārat ko tyaag de ke gayā
kahāñ se kis ne kiyā sochiye ishārā koī
tirī zamīn meñ likkhe haiñ sher tere liye
tirī zamīñ pe nahīñ hai mirā ijārā koī
na jaane kyuuñ mujhe chubhtā hai āj-kal 'hamdam'
mirī hī aañkh se likkhā huā nazārā koī