hai mashaqqat mirī in.aam kisī aur kā hai
kaam merā hai magar naam kisī aur kā hai
dhuup thī saath jo din bhar vo kisī aur kī thī
kyā dhuñdlakā bhī sar-e-shām kisī aur kā hai
sar pe rahtā hai hamesha hī kisī kā saayā
merī dīvār pe ye baam kisī aur kā hai
maiñ to ḳhud apne hī nashshe meñ huuñ sarshār bahut
haath meñ hai jo mire jaam kisī aur kā hai
jaane ye kaun dhaḌaktā hai mire siine meñ
mere hoñToñ pe ravāñ naam kisī aur kā hai
haif apne liye kuchh kar na sakā mar kar bhī
laash merī hai to kohrām kisī aur kā hai
merā har saañs bhī ḳhud merā nahīñ hai 'hamdam'
ye badan aur ye ehrām kisī aur kā hai