ham yahāñ rahte haiñ apnī hī nigahbānī meñ
jab se mushkil nazar aane lagī āsānī meñ
mere hāthoñ meñ ye kashkol thamāyā kis ne
kaisā sāmān milā be-sar-o-sāmānī meñ
haa.e kyā log the jo josh-o-junūñ rakhte the
ab koī lutf nahīñ chāk-garebānī meñ
kabhī is shahr meñ kuchh der Thahar kar dekho
zindagānī ko ravāñ maut kī tābānī meñ
ham ne ik umr basar kī hai yahāñ bhī lekin
kuchh izāfa na huā dasht kī vīrānī meñ
aks merā mujhe lagtā hai jahāñ-tāb huā
sar-e-kohsār dikhā.ī jo diyā paanī meñ
mere atrāf haiñ kitne hī parinde ḳhāmosh
hai koī kāmil-e-fan kār-e-sulaimānī meñ