kaam āsāñ hai magar dekhiye dushvār bhī hai
aage darvāze ke rakkhī huī dīvār bhī hai
dene vaale se mujhe koī shikāyat kyuuñ hai
raah meñ dhuup bhī hai sāya-e-ashjār bhī hai
qatl kar ke jo mujhe saa.e meñ pheñk aayā hai
log kahte haiñ vahī merā taraf-dār bhī hai
tujh ko bas apnī hī tasvīr nazar aatī hai
aa.ine meñ kahīñ hairat kahīñ zañgār bhī hai
kyuuñ bhalā vaqt kā nuqsān karoge pyāre
jo yahāñ ab hai tamāshā vahī us paar bhī hai
mere aabā se mujhe kyā na milā hai 'hamdam'
taaq meñ dekhiye mus.haf bhī hai talvār bhī hai