Hamdam Kashmiri

wahshat hai bahut kam to hai zanjir ziyaada

Hamdam Kashmiri

vahshat hai bahut kam to hai zanjīr ziyāda
chhoTā sā mirā ḳhvāb hai ta.abīr ziyāda
kyā jaan merī sirf sulagne ke liye hai
kiije na mire jism kī tafsīr ziyāda
kis moḌ pe dīvān ke maiñ ruk sā gayā huuñ
'ġhālib' se nazar aane lagā 'mīr' zyāda
kartā huuñ isī vāste tadbīr bahut kam
har kaam meñ kaam aatī hai ta.abīr ziyāda
kab tak ye mirā zo.am ye ehsās rahegā
duniyā meñ bahut ḳhuub hai kashmīr ziyāda
Top Urdushayar.com