Hamdam Kashmiri

chhaTi hai rah se gard-e-malal mere liye

Hamdam Kashmiri

chhaTī hai raah se gard-e-malāl mere liye
ki jhūmtī hai havā Daal Daal mere liye
huā hai kyā karūñ jiinā muhāl mere liye
mire hī shahr se mujh ko nikāl mere liye
koī bhī kaam nahīñ ho sakā hai fursat meñ
ki kam paḌe haiñ bahut māh-o-sāl mere liye
vo kaun hai jo mirī aartī utāregā
sajā ke rakkhā hai kis ne ye thaal mere liye
maiñ phūñk phūñk ke chaltā huuñ raah meñ us kī
qadam qadam pe bichhā.e haiñ jaal mere liye
kahīñ pe ho ga.e pazhmurda phuul āñgan meñ
huā hai sabza kahīñ pā.emāl mere liye
khulā ye raaz rihā.ī ke ba.ad hī mujh par
banāyā us ne mujhe yarġhamāl mere liye
mirā dimāġh hai mā.ūf dil udaas bahut
huā hai jism bhī merā niDhāl mere liye
hue haiñ rāste masdūd kyuuñ mire 'hamdam'
junūb mere liye thā shumāl mere liye
Top Urdushayar.com