ham apne aap ko phir aazmā ke dekheñge
jalā ke dekh liyā ab bujhā ke dekheñge
na.e sire se kareñ apnī zindagī āġhāz
na.ī zamīñ pe nayā ghar banā ke dekheñge
karegā saath hamāre sulūk vo kaisā
kisī ko taḳht pe apne biThā ke dekheñge
dikhā.ī degā siyāh-o-safed rāhoñ meñ
ham apnī aañkh kī lau ko baḌhā ke dekheñge
guzārnī hai bahar-hāl zindagī apnī
kamā ke dekh liyā ab gañvā ke dekheñge
zarūr daad milegī ġhazal ho kaisī bhī
mushā.ere meñ chalo ham bhī gā ke dekheñge