jā-ba-jā aag bichā.ī thī kabhī
apne bas meñ bhī ḳhudā.ī thī kabhī
mere ā.īne meñ ḳhud mere sivā
koī sūrat nazar aa.ī thī kabhī
dushmanoñ se bhī thā yārāna mirā
dostoñ se bhī laḌā.ī thī kabhī
rañg chubhte haiñ jo ab āñkhoñ meñ
apnī tasvīr banā.ī thī kabhī
jab se haiñ apne parā.e bezār
rasm duniyā kī uThā.ī thī kabhī
ham ne bhī dasht ko mahkāyā hai
ham ne bhī ḳhaak uḌaa.ī thī kabhī
khod kar zer-e-zamīñ kuchh na milā
apnī shamshīr chhupā.ī thī kabhī
ab dahaktī hai dobārā 'hamdam'
aag siine meñ dabā.ī thī kabhī