Hamdam Kashmiri

milta hai har charagh ko saya zamin par

Hamdam Kashmiri

miltā hai har charāġh ko saayā zamīn par
rahtā nahīñ hai koī akelā zamīn par
har ek naqsh us kā havā le ke uḌ ga.ī
khīñchā thā ham ne shauq kā naqsha zamīn par
badle hue se lagte haiñ ab mausamoñ ke rañg
paḌtā hai āsmān kā saayā zamīn par
gosha zarā sā koī amaañ kā kahīñ mile
jī tañg ho gayā hai kushāda zamīn par
har ek mauj ruk sī ga.ī saañs kī tarah
bahtā nahīñ hai ab kahīñ dariyā zamīn par
vo jin ko mere ghar kā nishāñ bhī nahīñ milā
hairāñ haiñ mujh ko dekh ke zinda zamīn par
Top Urdushayar.com