yaqīn kaise karūñgā gumāñ meñ rahtā huuñ
charāġh huuñ kisī andhe makāñ meñ rahtā huuñ
chahār samt ujālā hai mere hone se
maiñ har taraf huuñ magar darmiyāñ meñ rahtā huuñ
mujhe talāsh karo mujh se guftugū kar lo
meñ apne harf meñ apne bayāñ meñ rahtā huuñ
haqīr sā mirā kirdār hai kahānī meñ
misāl-e-gard kahīñ kārvāñ meñ rahtā huuñ
sadā bhī apnī hī aatī hai mere kānoñ meñ
jahāñ bhī rahtā huuñ apne gumāñ meñ rahtā huuñ
na sub.h koī yahāñ aur na shaam hai apnī
kisī se kaise kahūñgā kahāñ maiñ rahtā huuñ
na bām-o-dar haiñ nā dīvār hai koī jis kī
maiñ āj-kal kisī aise makāñ meñ rahtā huuñ
mujhe bhī yaad karegā kabhī koī 'hamdam'
kahīñ to maiñ bhī kisī dāstāñ meñ rahtā huuñ