Hamdam Kashmiri

wahm koi guman mein tha hi nahin

Hamdam Kashmiri

vahm koī gumāñ meñ thā hī nahīñ
naqsh apnā nishāñ meñ thā hī nahīñ
mujh se mansūb ho gayā kyuuñ kar
vo jo mere bayāñ meñ thā hī nahīñ
log kaise mirā yaqīñ karte
jhuuT mere bayāñ meñ thā hī nahīñ
chor aayā gayā bhī ḳhālī haath
maiñ to apne makāñ meñ thā hī nahīñ
bas purānī ghisī-piTī bāteñ
rañg taaza bayāñ meñ thā hī nahīñ
phīkī phīkī bahār guzrī hai
rañg apnā ḳhizāñ meñ thā hī nahīñ
ham ne sun kar bhī an-sunī kar dī
kuchh ta.assur azaañ meñ thā hī nahīñ
mere sar ke liye jo ho mauzūñ
sañg vo āstāñ meñ thā hī nahīñ
der se ḳhāmushī hai ḳhema-zan
shor kyā kārvāñ meñ thā hī nahīñ
aa rahā thā zamīn kī jānib
vasvasa āsmāñ meñ thā hī nahīñ
Top Urdushayar.com