ek qatra na kahīñ ḳhuuñ kā bahā mere ba.ad
zañg-ālūd huī teġh-e-jafā mere ba.ad
kyuuñ har ik moḌ pe hotā hai ghuTan kā ehsās
tañg kyuuñ hone lagī merī fazā mere ba.ad
dekhte dekhte hī maañd paḌe shams-o-qamar
ḳhud se bezār hue sub.h-o-masā mere ba.ad
har taraf zardi-e-ruḳhsār nazar aatī hai
kahīñ raushan na milā rañg-e-hinā mere ba.ad
ruk gayā qāfila-e-umr-e-subuk-rau shāyad
dekh ḳhāmosh hai āvāz-e-darā mere ba.ad
zindagī bhar na kiyā yaad kisī ne aur ab
pūchhte haiñ vo mere ghar kā patā mere ba.ad
umr bhar us ko sambhāle hue rakkhā maiñ ne
gir na jaa.e kahīñ dīvār-e-anā mere ba.ad
ab bhī kyā is meñ hai ābād syāhī 'hamdam'
mere vīrāne kā kyā haal huā mere ba.ad