Wazir Ali Saba Lakhnavi

ai saba jazb pe jis dam dil-e-nashad aaya

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
ai sabā jazb pe jis dam dil-e-nāshād aayā
apnī āġhosh meñ uḌ kar vo parī-zād aayā
mahv-e-abrū ke liye ḳhanjar-e-faulād aayā
zab.h karnā bhī na tujh ko mire jallād aayā
sar-kashī par jo vo sarv-e-sitam-ījād aayā
paas aare ke ghisaTtā huā shamshād aayā
chashm-e-mūsā hama-tan ban gayā maiñ hairat se
dekhā ik but kā vo aalam ki ḳhudā yaad aayā
dam-e-āġhāz-e-junūñ tauq gulū-gīr huā
ġhul machāne bhī na paa.e thī ki haddād aayā
kaT ga.e maare ḳhajālat ke javānān-e-chaman
baaḌh par qad jo tirā o sitam-ījād aayā
āshiqoñ se na rahā koī zamāna ḳhālī
kabhī vāmiq kabhī majnūñ kabhī farhād aayā
dil meñ ik dard uThā āñkhoñ meñ aañsū bhar aa.e
baiThe baiThe hameñ kyā jāniye kyā yaad aayā
ro.e ġhurbat meñ hujūm-e-gul-e-sahrā.ī par
chaman-e-majma-e-yārān-e-vatan yaad aayā
mizha-e-yār ke nashtar ke hue saudā.ī
ḳhūn-e-fāsid kī tarah josh meñ fassād aayā
ban gayā ḳhāl-e-jabīñ kaukab-e-baḳht-e-yūsuf
kis taraqqī pe tirā husn-e-ḳhudā-dād aayā
āriz-e-sāf kā khīñchā na gayā jab naqsha
aa.ina le ke tire sāmne bahzād aayā
bait-e-hastī ke 'sabā' ho ga.e ma.anī raushan
ḳhvāja-'ātish' sā zamāne meñ jo ustād aayā
Top Urdushayar.com