aks kyā dīda-e-tar meñ dekhā
ham ne dariyā ko bhañvar meñ dekhā
sar-e-manzil koī manzil na milī
ik safar aur safar meñ dekhā
nazar aayā kabhī bāzār meñ ghar
kabhī rasta koī ghar meñ dekhā
suraḳh-rū jañg se lauT aayā thā
ḳhuuñ meñ lat-pat jise ghar meñ dekhā
jaane kab aa ke yahāñ baiThe the
apnā saayā bhī shajar meñ dekhā
ab bhī chipkā hai mirī āñkhoñ meñ
jo dhuāñ sham.a sahar meñ dekhā
aag kis des lagī hai ab ke
phir dhuāñ apne nagar meñ dekhā
ek hī jast meñ ham ne 'hamdam'
fāsla dasht se dar meñ dekhā