aa gumāñ se guzar ke dekheñge
āsmāñ se utar ke dekheñge
Duub kar aa ubhar ke dekheñge
pech saare bhañvar ke dekheñge
ḳhatm ho raat kā tavīl safar
ziina ziina utar ke dekheñge
kis qadar hai amiiq sannāTā
apne andar utar ke dekheñge
kyā guzartī hai zindagī ke ba.ad
aao kuchh der mar ke dekheñge
paas baaqī takān hai kitnī
rāste meñ Thahar ke dekheñge
log sab ek hī qimāsh ke haiñ
kyā udhar kyā idhar ke dekheñge