huā hai sāmne āñkhoñ ke ḳhāndāñ ābād
makān meñ hī hue haiñ ka.ī makāñ ābād
tumhārī yaad meñ ābād jism-o-jāñ mere
tumhāre zikr se hai merī dāstāñ ābād
ujaḌ ga.ī hai har ik samt mausam-e-gul meñ
na bāġhbāñ hai salāmat na gulistāñ ābād
koī payām na koī atā patā un kā
koī batā.e kahāñ par haiñ raftagāñ ābād
ajiib juzv hai ye mere jism kā ki yahāñ
kahīñ yaqīn hai qaa.em kahīñ gumāñ ābād
yahī duā hai mirī aur yahī tamannā hai
sadā rahe merī vaadī yahāñ vahāñ ābād
koī bhī faisla hogā nahīñ rahe jab tak
tumhārī teġh salāmat mirī sināñ ābād