Hamdam Kashmiri

kitni mahfuz zindagi thi kabhi

Hamdam Kashmiri

kitnī mahfūz zindagī thī kabhī
dushmanī thī na dostī thī kabhī
ab faqat qahqahe lagātā huuñ
merī āñkhoñ meñ bhī namī thī kabhī
soch kar ab qadam uThātā huuñ
merī rāhoñ meñ gum rahī thī kabhī
ab dhuāñ hai jo pī rahe haiñ nam
aag har moḌ par lagī thī kabhī
ab to badlā hai apnā paimāna
jo burī hai vahī bhalī thī kabhī
thā safed-o-siyāh se vāqif
merī āñkhoñ meñ raushnī thī kabhī
ab to tasbīh le ke baiThe haiñ
haath meñ jin ke lablabī thī kabhī
sab kā mahbūb ek thā 'hamdam'
shahr meñ ek hī galī thī kabhī
Top Urdushayar.com