koī bhī chiiz yahāñ vaqt-e-zarūrat na milī
kabhī sahrā jo milā bhī kahīñ vahshat na milī
band kamre meñ ye dastūr kahāñ se aayā
kyuuñ mujhe ḳhud se bhī milne kī ijāzat na milī
kyuuñ har ek moḌ pe rokā hai talāshī ke liye
kyuuñ mujhe ghar se nikalne kī ijāzat na milī
ab yahī rañj mirī aañkh meñ aa baiThā hai
toḌ kar aa.ina dekhā kahīñ hairat na milī
mauj-e-dariyā thī kahīñ aur na havā kā jhoñkā
ret par likkhī thī jo raat ibārat na milī