zarā socho to mere saath aisā kyuuñ huā hai
badan TuuTā huā thā paarā paarā kyuuñ huā hai
ḳhud apnī mauj se begāna dariyā kyuuñ huā hai
jo honā hī nahīñ thā aaj aisā kyuuñ huā hai
suroñ par āsmāñ Duubā huā hai bādaloñ meñ
dukhoñ kī jhiil kā paanī bhī gahrā kyuuñ huā hai
ḳhudāyā ājizī se maiñ ne māñgā kyā milā kyā
asar merī duāoñ kā ye ulTā kyuuñ huā hai
ye kaisī raushnī hai aur kin rāhoñ se aa.ī hai
yakāyak merī āñkhoñ meñ añdherā kyuuñ huā hai
vahāñ kī āb-jū meñ tel bahtā hai barābar
yahāñ vaadī meñ apnī ḳhushk dariyā kyuuñ huā hai
kahāñ jā.eñge tujh ko chhoḌ kar ai maañ batā de
tirī āġhosh meñ dushvār jiinā kyuuñ huā hai
ye kis ne kar diyā do laḳht mujh ko aaj 'hamdam'
kahāñ huuñ maiñ mirā saayā akelā kyuuñ huā hai