Wazir Ali Saba Lakhnavi

ai sanam sab hain tere hathon se nalan aaj-kal

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
ai sanam sab haiñ tire hāthoñ se nālāñ āj-kal
sūrat-e-nāqūs haiñ gabr-o-musalmāñ āj-kal
baaġh meñ kahte haiñ vo laale kā taḳhta dekh kar
gul khilātī hai ajab ḳhāk-e-shahīdāñ āj-kal
harf-e-matlab apne dīvāne kā bhī sun jā zarā
ho tujhe chhuTTī jo ai tifl-e-dabistāñ āj-kal
mausam-e-josh-e-junūñ hai jāma-e-gul kī tarah
ḳhud-ba-ḳhud hote haiñ TukḌe jeb-o-dastāñ āj-kal
peshtar ḳhat se mazā thā husn kā ai naunihāl
ho gayā dāġhī tirā seb-e-zanaḳhdāñ āj-kal
yaad karte haiñ kisī ke mus.haf-e-ruḳhsār ko
tāq-e-nisyāñ par rakhā hai ham ne qur.āñ āj-kal
zulfeñ chhoḌī haiñ jo us sayyād-e-gul-ruḳhsār ne
daam meñ phañste haiñ murġhān-e-ġhulistāñ āj-kal
haa.e vo ḳhush-qad pa.e-gul-gasht ab aatā nahīñ
naḳhl-e-mātam hai har ik sarv-e-gulistāñ āj-kal
zo.af ke hāthoñ hue fasl-e-junūñ meñ tañg ham
ho gayā phāñsī hameñ apnā garebāñ āj-kal
in dinoñ meñ zuur hotā hai hameñ josh-e-junūñ
bhāgtā hai chhoḌ kar majnūñ bayābāñ āj-kal
jo hasīñ hai gard hai is bādshāh-e-husn kī
rahtā hai pariyoñ kī jhūmar meñ sulaimāñ āj-kal
aiñDate haiñ kaj-adā.ī karte haiñ ushshāq se
bal kī lete haiñ bahut gesū-e-jānāñ āj-kal
gulshan-e-ālam mirī nazroñ meñ bāġh-e-sabz hai
dekhtā huuñ sabza-e-gor-e-ġharebāñ āj-kal
sāmnā har roz kā hai us but-e-saffāk se
ai 'sabā' allāh hai apnā nigahbāñ āj-kal
Top Urdushayar.com