Prem Warbartani

kabhi to khul ke baras abr-e-mehrban ki tarah

Prem Warbartani

Dinga, Punjab, Pakistan

1930-1979
kabhī to khul ke baras abr-e-mehrbāñ kī tarah
mirā vajūd hai jalte hue makāñ kī tarah
bharī bahār kā siina hai zaḳhm zaḳhm magar
sabā ne gaa.ī hai lorī shafīq maañ kī tarah
vo kaun thā jo barahna badan chaTānoñ se
lipaT gayā thā kabhī bahr-e-be-karāñ kī tarah
sukūt-e-dil to jazīra hai barf kā lekin
tirā ḳhulūs hai sūraj ke sā.ebāñ kī tarah
maiñ ek ḳhvāb sahī aap kī amānat huuñ
mujhe sambhāl ke rakhiyegā jism-o-jāñ kī tarah
kabhī to soch ki vo shaḳhs kis qadar thā buland
jo bichh gayā tire qadmoñ meñ āsmāñ kī tarah
bulā rahā hai mujhe phir kisī badan kā basant
guzar na jaa.e ye rut bhī kabhī ḳhizāñ kī tarah
Top Urdushayar.com