Prem Warbartani

ho gaya hun har taraf bad-nam tere shahr mein

Prem Warbartani

Dinga, Punjab, Pakistan

1930-1979
ho gayā huuñ har taraf bad-nām tere shahr meñ
ye milā hai pyaar kā in.aam tere shahr meñ
jab sunahrī chūḌiyāñ bajtī haiñ dil ke saaz par
nāchtī hai gardish-e-ayyām tere shahr meñ
is qadar pābandiyāñ āḳhir ye kyā andher hai
le nahīñ sakte tirā hī naam tere shahr meñ
ab to yādoñ ke ufuq par chāñd ban kar muskurā
rote rote ho ga.ī hai shaam tere shahr meñ
kab khulegā tere mai-ḳhāne kā dar mere liye
phir rahā huuñ le ke ḳhālī jaam tere shahr meñ
ek dīvāne ne kar lī ḳhud-kushī pichhle pahar
aa gayā āḳhir use ārām tere shahr meñ
'prem' yūsuf to nahīñ lekin ba-andāz-e-digar
ho chukā hai bār-hā nīlām tere shahr meñ
Top Urdushayar.com