yuuñ lahaktā hai tire nau-ḳhez ḳhvāboñ kā badan
jaise shabnam se dhule taaza gulāboñ kā badan
mutriba ne is tarah chheḌe kuchh armānoñ ke taar
kas gayā añgḌā.ī lete hī rubāboñ kā badan
koī pahnātā nahīñ be-dāġh lafzoñ kā libās
kab se uryāñ hai mohabbat kī kitāboñ kā badan
raat hai yā sañg-e-marmar kā muqaddas maqbara
jis ke andar dafn hai do māhtāboñ kā badan
ā.īñe le kar kahāñ tak ham sarāboñ ke safīr
dhuup ke sahrāoñ meñ DhūñDeñge ḳhvāboñ kā badan
jab ghulā bād-e-sabā meñ tere pairāhan kā lams
aur bhī mahkā tar-o-tāza gulāboñ kā badan
'prem' āḳhir sub.h-e-nau kholegī kab band-e-qabā
jhāñktā hai chilmanoñ se āftāboñ kā badan