Prem Warbartani

na puchh dil ke KHarabe se aur kya nikla

Prem Warbartani

Dinga, Punjab, Pakistan

1930-1979
na pūchh dil ke ḳharābe se aur kyā niklā
baḌī talāsh ke ba.ad ek naqsh-e-pā niklā
ruke to chāñd bahut duur thā tasavvur se
chale to chaar hī qadmoñ kā fāslā niklā
ḳhirad ke phuul to murjhā ga.e bahāroñ meñ
junūñ kā zaḳhm ḳhizāñ meñ harā-bharā niklā
siyāh raat meñ lau de uThe lahū ke charāġh
rubāb-e-ishq se vo shola-e-navā niklā
safar-e-shabāb kā had-darja muḳhtasar thā magar
bahut tavīl sarāboñ kā silsila niklā
nigāh-e-nāz meñ mastī bhī hai taqaddus bhī
sharāb-ḳhāne kā mandir se rābta niklā
visāl-e-yār to qismat kī baat hai be-shak
ḳhayāl-e-yār bhī ham se bahut ḳhafā niklā
nigār-e-sher ne sola-siñgār jis meñ kiye
vo aa.ina mire ashkoñ kā ā.īnā niklā
kamāl-e-chashm-e-nazāra to dekhiye ai 'prem'
bayāz-e-jism kā har raaz ḳhushnumā niklā
Top Urdushayar.com