is haqīqat kā hasīñ ḳhvāboñ ko andāza nahīñ
zindagī vo ghar hai jis meñ koī darvāza nahīñ
shab ke kaase meñ thā kitne māhtāboñ kā lahū
sub.h ke taare ko shāyad is kā andāza nahīñ
rañg lā.egī kabhī to mere zaḳhmoñ kī shafaq
kyā huā rū-e-tamannā par agar ġhāza nahīñ
ek aañsū huuñ ḳhushī kī aañkh se rūThā huā
maiñ kisī kī muntashir palkoñ kā shīrāza nahīñ
kyuuñ bahār aatī nahīñ dil ke ḳharābe kī taraf
kyā tirī shādāb zulfoñ kī havā taaza nahīñ
likh rahī hai kyuuñ mirī rūhāniyat āyāt-e-kufr
ye kahīñ duzdīda ḳhvāboñ kā to ḳhamyāza nahīñ
kis ko dekhā band darvāzoñ ne āñkheñ khol kar
'prem' tujh ko un kī aamad kā bhī andāza nahīñ