kabhī khole to kabhī zulf ko bikhrā.e hai
zindagī shaam hai aur shaam Dhalī jaa.e hai
har ḳhushī mom kī guḌiyā hai muqaddas guḌiyā
taaj sho.aloñ kā zamāna jise pahnā.e hai
ḳhāmushī kyā kisī gumbad kī fazā hai jis meñ
guuñj ke merī hī āvāz palaT aa.e hai
zindagī pūchhe hai ro kar kisī beva kī tarah
chūḌiyāñ kaun mire haath meñ pahnā.e hai
dil kisī jām-e-labālab kī tarah lahrā kar
phir tire dast-e-hinā.ī meñ chhalak jaa.e hai
kaun samjhe mire iḳhlās kī azmat ko bhalā
maiñ vo dariyā huuñ jo qatre meñ samā jaa.e hai
'prem' dekho to sahī zaḳhmoñ ke zevar kī phaban
shā.erī ban ke dulhan aur bhī sharmā.e hai