Wazir Ali Saba Lakhnavi

bagh-e-alam mein hai be-rang bayan-e-waiz

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
bāġh-e-ālam meñ hai be-rañg bayān-e-vā.iz
sūrat-e-barg-e-ḳhizānī hai zabān-e-vā.iz
misr meñ bhī na ye fir.aun kā aalam hogā
dekhe masjid meñ koī shauqat-o-shān-e-vā.iz
ek kāñTā sā nikal jaa.e hamāre dil se
sansiyoñ se koī khīñche jo zabān-e-vā.iz
qulqul-e-shīsha-e-mai se tire mai-kash saaqī
sun rahe haiñ ḳhabar-e-rāz-e-nihān-e-vā.iz
haal ma.alūm huā nār-o-jināñ kā kyūñkar
is qadar to nahīñ ūñchā hai makān-e-vā.iz
nām-e-mai vo hai ki lab par jo kabhī aatā hai
muñh se bāhar nikal aatī hai zabān-e-vā.iz
mai-kade vāloñ se dabne lage masjid vaale
daur saaqī kā hai guzrā vo zamān-e-vā.iz
maiñ bhī vo huuñ jo mire aage kabhī muñh khole
kaaT Dālūñ abhī dāñtoñ se zabān-e-vā.iz
apne rindoñ kī maiñ hū-haq kā huuñ sunñe vaalā
yā-ilāhī na sunānā suḳhnān-e-vā.iz
maiñ parī-zādoñ kā āshiq huuñ to vo hūroñ kā
mere saude se hai baḌh kar ḳhafqān-e-vā.iz
paa.e ḳhum baiTh ke nashshe meñ vo bāteñ kiije
log samjheñ sar-e-mimbar hai bayān-e-vā.iz
ai 'sabā' ḳhuld meñ jā.ūñ ki jahannam meñ jalūñ
na sunā hai na sunūñgā maiñ bayān-e-vā.iz
Top Urdushayar.com