aaj kyā dekhā ḳhalāoñ ke sunahre ḳhvāb meñ
regzāroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ mahtāb meñ
jab se pahnā hai na.e mausam ne zaḳhmoñ kā libās
phuul se khilne lage haiñ dīda-e-ḳhūñ-nāb meñ
nisf shab ko niiñd meñ chaltā huā paikar koī
naqsh-e-pā kyuuñ chhoḌ jaatā hai dayār-e-ḳhvāb meñ
vo to ḳhud apne tajassus meñ bhaTak kar rah ga.e
tazkira thā jin kī azmat kā bahut ahbāb meñ
chheḌtā hai sāz-e-shab ko yuuñ samundar kā sukūt
Duub jaatī hai fazā sañgīt ke sailāb meñ